Sarkari naukri imtehan zindagi ka

 

Ek aam bhartiya navyuvak badey aram se ek jaal m fansta hai wo hai sarkari naukri ka khwab ,kisi ke liye UPSC,PCS,kisi k lie 1st grade ,2nd grade,3rd grade,or 4th grade.

M, ku fail hotey hai, ku kuch pas ho jatey hain ,kya karna chaiye ,kya nahi ,kaha kami reh gayi, in baaton per nhi lkhna chahta, man hi nahi karta itna padh liya itna sun liya in sabka ki haar gaya in sabse.

Ho sakta hai mera maanna galat ho per bina kisi karan ke bina kisi vajeh ke kisi bhi insan ke fail hone ki bhabnao ko ek hi manta hu.unka asar same maanta hu.


Koi ghar se lad ke tyari kar raha koi bina man k kar raha hai ,koi kar raha kuki sab kar rahe hai ,kisi ka akhiri chance hai ,koi karza leke tyrai kar raha hai,kisi ki shadi kara di jaegi,kpi ghar chhod ke baitha hai ,ku?khud ko sabit karna hai ijjat paani hai pyar paana hai uske baad sabkuch jo milta hai wo to hai hi.

Ye karan bhut chhota karan hai ki ye sab chahte hai apni life mai settle hona ,mere hisab se chahte hai ki unko pehchan le koi viswas kar le koi ,ya jin per kiya gya hai unper bana rahe ,mata pita gale laga le bol de ki I am proud of you beta/beti.economic ,samajik halat bhi ek bada karan hai per mujhe yahidikha har tyari karne waali ki aankhon mai.

Jab koi yuva apni zindagi ke 3/4 saal dene ke baad bhi nahi ho pata hai pass to kya , ye kisi ko nahi pata usey bhi nahi pata .imandari se mehnat karogey to lagogey hi ye kaha jata hai ,ya mehnat to karo kam se kam afsos nahi rahega ,per fir bhi nahi hota to uska kya, wo kya kare ab ,kya kaam karey ,milega kya 10000,20000.

Jis umra mai yuva ko kaamkaazi hona chaiye hamare desh ka yuva naukri ki talash nahi tyari karta hai result kya hai 1%log pass hotey hai or ye sabko pata hai ,isey badla bhi nahi ja skata.

Asar kya hota hai ho skata hai sab keh de koi baat nahi ,per tum andar andar khudkogadha ,bewakoof,nakara,asangat,nalayak,kamchor,bhanebaaz,pata nahi kya kya sangya de chuke hotey ho ,or ye kisi ko pata nahi ki aap toot chukey in 3/4 saalo mai doobne k sayad qareeb ho.per doobogey nahi ye janta hu.

m bhi isi daur me hu mehsus karta hu har din jeeta hu uper kahi gayi har baat ko.

Jo aam yuva hai samjhta hu uska dard.

Daro nahi ghabrao nahi ummeed rakho khud per ye sarkari naukri tum nhi ho na zindagi hai ,chahe tum pass ho ya fail.naukri tumse hai tum naukri se nahi.

Chao to kosis kartey raho ,nahi chatey to mat karo jab fail hi hona to alaga jageh hi sahi.

Bas tarakki karo khus raho apna atmaviswas bnaye rakho ,zindagi ko narwasao mat,kuch na kuch jarur hoga

2line hai gazalo ki

Kisi ko ghar se nikaltey hi mil gayi manzil koi umara bhar safar mai raha

Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta , kisi ko jameen kisi ko asmaan nahi milta.

No comments

Powered by Blogger.